,

Paneer Butter Masala Recipe in Hindi – Step-by-Step (Hinglish)

paneer butter masala recipe in hindi

paneer butter masala in hindi mein kuch jankari jise janna jaruri hai

Bhai mujhe pata hai jab hum sab kitchen mein jaldi-jaldi kuch banane jaate hain, toh sabse pehle Google pe type karte hain – “Paneer butter masala recipe in Hindi” ya “easy wala version”. Kyunki har koi chahta hai ki bina zyada tension ke ekdum swaadisht aur creamy dish ban jaye, wo bhi ghar ke simple samaan se.

Toh aaj main aapke liye lekar aaya hoon ek aisi paneer butter masala recipe in hindi  jo beginner bhi aasani se bana le. Isme na koi cream ki zarurat hai, na fancy cheezein chahiyein. Simple ghar ke ingredients – jaise makhan, pyaaz, tamatar, jeera, methi, paneer – inhi se banta hai ye mazedaar Paneer Butter Masala. Main aapko sab kuch step by step bataunga – bina ghumaye, ekdum straight forward. Aap chahe apne mummy-papa ke liye bana rahe ho, ya apne partner ke liye – ye dish sabko pasand aayegi.

paneer butter masala recipe in hindi

Paneer Butter Masala Recipe Mein Li Gayi Samagri (Ingredients) List:

  • Paneer – 250 gram (cubes mein kata hua)
  • Butter – 2 tablespoon (frying ke liye aur gravy mein)
  • Kashmiri Lal Mirch Powder – 1/2 teaspoon (frying ke liye + gravy mein)
  • Tamatar – 2-3 medium (puree banane ke liye)
  • Lehsun (Garlic) – 10 kaliyan (puree mein)
  • Tej Patta – 1 piece
  • Badi Elaichi – 1 piece
  • Dalchini ka tukda – 1 piece
  • Laung – 1-2 pieces
  • Jeera – 1 teaspoon (poora aur powder dono)
  • Pyaaz – 2 medium (bareek kata hua)
  • Adrak-Mirch Paste – 2 teaspoon (ginger-chili paste)
  • Kaju Paste – 2 tablespoon
  • Dhaniya Powder – 1/2 teaspoon
  • Namak (Salt) – swad anusar
  • Paani (Water) – 2 to 2.5 cup (gravy ke liye)
  • Dahi (Curd/Yogurt) – 3-4 tablespoon (fresh aur whisked)
  • Bhuni Kasuri Methi Powder – 1 teaspoon (garnish ke liye)
  • Hara Dhaniya (Fresh Coriander leaves) – 1 tablespoon (garnish ke liye)
  • Adrak ke lachhe (Ginger juliennes) – 1 inch (garnish ke liye)

 

butter paneer masala ingredients

paneer butter masala recipe for beginners step by step

step 1: Paneer ko fry karen Paneer Butter Masala recipe banane ke liye

sabse pehle hum 250 gram paneer lenge aur isko cubes mein kaat lenge. Ab ek pan ko gas par rakh denge aur ismein 2 tablespoon butter daal kar halka garam hone denge.

Jab butter garam ho jaaye to 1/2 teaspoon Kashmiri lal mirch powder daal denge, aur phir paneer daal kar 3-4 minute tak medium flame par fry karenge. Jab fry ho jaye to nikaal kar alag rakh lein.

butter paneer masala dhaba style

step 2: Tamatar ki puree banayein

Tamatar ki puree banane ke liye mixer jar mein 2-3 tamatar kaat kar daalein, saath mein 10 lehsun ki kaliyaan daal dein. 1/2 tsp kasmiri lalmrich powder daldege Ab isko achhe se smooth puree bana lein. Aap apne hisaab se adjust kar sakte ho.

step 3: Paneer Butter Masala ka gravy banayein

Ab gravy banane ke liye ek kadhai gas par rakh kar usmein 2 tablespoon butter daal kar garam karein. Butter garam ho jaaye to usmein 1 tej patta, 1 badi elaichi, 1 dalchini ka tukda, 1-2 laung aur 1 teaspoon jeera daal kar 20-25 second bhun lein. Ab ismein 2 medium chopped pyaaz daal kar golden brown hone tak bhunein.
aloo gobi recipe in hindi at home

Pyaaz brown ho jaaye to 2 teaspoon adrak-mirch ka paste daal kar 1-2 minute medium flame par bhunein. Phir tamatar ki puree aur 2 tablespoon kaju paste daal dein.

 Flame ko low kar dein aur masale daal dein – 1/2 tsp jeera powder, 1 tsp Kashmiri lal mirch powder ke wajh se ye gravy lal hoti hai , 1/2 tsp lal mirch powder, 1/2 tsp dhaniya powder. In sab ko achhe se bhunein jab tak masala side se tel na chhod de.

step 3: Paneer Butter Masala ka gravy banayein

paneer butter masal at home

Step 4: Paneer ko gravy ke saath pakayein

Jab masala tel chhodne lage to usmein fry kiya hua paneer daal dein. Ab swaad anusar namak daal kar 2-2.5 cup paani daal dein taaki gravy ban sake. Isko dhak kar 5-6 minute tak high flame par pakayein.
Beech-beech mein chammach se chalaate rahein taaki chipke nahi. Jab sab achhe se pak jaye to 3-4 tablespoon fresh dahi daal kar mix karein aur 3-4 minute aur paka lein. Dahi se gravy mein thoda khatta swaad aayega jo taste ko enhance karega.

step 5: Garnishing aur serving

Jab dahi ke saath 3-4 minute tak sab kuch pak jaye to gravy ko ek baar taste karke check kar lein. Agar kuch kami lage to adjust kar sakte ho. Ab gas band karke upar se  1 tsp bhuni kasuri methi powder aur 1 tablespoon hara dhaniya daal dein.

 Is dish ko aap tandoori roti, kulcha ya butter naan ke saath serve karein. Ye sab ke saath bahut hi swaadisht lagti hai. Agar aapko roti ya kulcha banana nahi aata to maine inki recipe bhi likhi hai – [tandoori roti, kulcha, butter naan].

paneer butter masala recipe in hindi

Main kuch tips bhi de raha hoon ise aur bhi behtar banane ke liye:

1. Butter ki jagah agar aap desi ghee ka use karein to taste aur bhi badhiya ho jaata hai.
2. Dahi ko gravy mein daalne se pehle achhe se whisk kar lein, taaki gravy na phate.
3. Agar aapko raja wali rich gravy chahiye to 2-3 chamach fresh cream daal sakte hain.
4. Aap isme khoya bhi daal sakte ho jisse taste aur presentation dono kaafi improve hota hai.

Paneer Butter Masala banate waqt ye galtiyaan na karein:

1. Saari samagri pehle se ready karke rakhein taaki beech mein kuch miss na ho.

2. Sarso tel ka bilkul bhi use na karein, kyunki is dish mein butter ya ghee hi best hota hai.

3. Hamesha tamatar ki puree ka use karein taaki gravy smooth lage.

4. Pani utna hi daalein jitna jarurat ho – zyada pani ya overcook karne se gravy ka texture kharab ho sakta hai.

Nishkarsh: Butter Paneer Masala in Hindi Recipe

Agar aap log pehli baar butter paneer masala recipe bana rahe hain to aap ise dekh kar bilkul aasani se bana sakte ho. Ye dish taste mein ekdum restaurant jaisi lagti hai aur kuch hi minute mein ban jaati hai. Maine ye recipe apni maa se seekhi hai, jo aaj main apne bhai-behno ko bata raha hoon.

Paneer Butter Masala Recipe – Easy aur Tasty

Bhai, ye recipe bilkul simple hai, bina tension ke ghar ke saman se bana sakte ho. Beginners ke liye best! Cream ya fancy cheezon ki zarurat nahi.

Samagri (Ingredients):

  • 250 gram paneer (cubes mein kata hua)
  • 2 tablespoon butter
  • 1/2 teaspoon Kashmiri lal mirch powder
  • 2-3 medium tamatar (puree banane ke liye)
  • 10 lehsun ki kaliyan
  • 1 tej patta
  • 1 badi elaichi
  • 1 dalchini ka tukda
  • 1-2 laung
  • 1 teaspoon jeera (poora aur powder)
  • 2 medium pyaaz (bareek kate hue)
  • 2 teaspoon adrak-mirch ka paste
  • 2 tablespoon kaju paste
  • 1/2 teaspoon dhaniya powder
  • Namakswaad anusar
  • 2-2.5 cup paani
  • 3-4 tablespoon dahi (whisked)
  • 1 teaspoon bhuni kasuri methi powder
  • 1 tablespoon hara dhaniya (garnish ke liye)
  • 1 inch adrak ke lachhe (garnish ke liye)

Banane ki Vidhi (Step by Step):

  1. Paneer fry karo: Pan mein 2 tbsp butter garam karo, 1/2 tsp Kashmiri mirch daal kar paneer cubes 3-4 minute tak fry karo. Alag rakh lo.
  2. Tamatar aur lehsun ka puree banao: Mixer mein tamatar aur lehsun daal kar smooth puree bana lo.
  3. Gravy banao: Kadhai mein 2 tbsp butter garam karo, tej patta, elaichi, dalchini, laung aur jeera daal kar 20-25 sec bhuno. Pyaaz daal kar golden brown hone tak bhuno. Adrak-mirch paste daal kar 1-2 min bhuno. Ab tamatar puree aur kaju paste daal do. Masale (jeera powder, lal mirch powder, dhaniya powder) daal kar achhi tarah bhuno jab tak tel alag na ho jaye.
  4. Paneer milao aur pakaao: Fry kiya hua paneer gravy mein daal do. Namak daal kar 2-2.5 cup paani milao. Dhak kar 5-6 min high flame par pakaao. Beech-beech mein chammach se hilate raho. Fir dahi daal kar 3-4 min aur pakao.
  5. Garnish aur serve karo: Gas band karo, upar se adrak ke lachhe, kasuri methi powder aur hara dhaniya daal do. Garma garam tandoori roti, kulcha ya butter naan ke saath serve karo.

Mere Tips:

  • Butter ki jagah desi ghee bhi use kar sakte ho, taste badh jaata hai.
  • Dahi gravy mein daalne se pehle achhi tarah whisk kar lena, warna gravy phat sakti hai.
  • Agar rich gravy chahiye to thoda fresh cream ya khoya bhi daal sakte ho.
  • Saari samagri pehle se ready rakhna taaki beech mein koi cheez na chhoot jaye.
  • Sarso ka tel mat daalna, butter ya ghee hi best hai.

About Me

Hello, my name is Shankar Kumar Pathak and I have been cooking for almost 3 years. I have done a course in hotel management and I have also learned a lot from my mother. I share whatever I have learned with all of you. I hope that you all like it. For this, I will always be grateful to you all and I will keep sharing such recipes.
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now
Instagram Group Join Now

2 thoughts on “Paneer Butter Masala Recipe in Hindi – Step-by-Step (Hinglish)”

  1. Pingback: ढाबा स्टाइल आलू का पराठा कैसे बनाएं |आसान रेसिपी फोटो के साथ

  2. Pingback: Breakfast झटपट ब्रेड बेसन टोस्ट – बिना अंडे वाला देसी ओमेलेट

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top