,

Maa Ke Haath ke Jaisi Aloo Gobi Recipe in Hindi – Ghar Ka Asli Swad

aloo gobi recipe in hindi

1. Introduction – Aloo Gobi Sabzi ka Desi Swad

Aaj mujhe pata chala ki India mein kitne log Google par “aloo gobi recipe in Hindi” search kar rahe hain. Toh mujhe laga, agar meri maa mujhe aloo gobi ki sabzi banana sikha sakti hai, toh main apne bhai-behan ko kyun nahi sikha sakta? Bilkul sikha sakta hoon!

Toh aaj aapka chhota ya bada bhai aapko asaan tareeke se aloo gobi recipe Hindi mein sikhayega. Kaise gobi aur aloo ko ubalna hai, kya-kya masale lagte hain — sab step by step. Taki aapko dobara search karne ki zarurat na pade. Bas apne ghar ki simple cheezon se aap ye sabzi bana sakte ho.
aloo gobi ki sabzi
Saath hi main aapko batata hoon ki ye aloo gobi khane ke kya fayde hain, aur banate waqt kaun si galtiyan nahi karni chahiye. Thoda extra tips bhi dunga jisse ye aur bhi swaadisht ban jayegi. Toh maa ko yaad karke chaliye, aapke apne bhai ki taraf se aloo gobi recipe!

2. Aloo Gobi Ki Recipe Banane Ki Samagri (Ingredients)

• 2 se 3 medium size ke aloo                                                
• 2 tablespoon sarson ka tel
• 1 tej patta
• 1 badi ilaichi
• 2 se 3 sukhi lal mirch
• 1 teaspoon hing
• 1 dalchini ka tukda
• 1 teaspoon jeera
• 2 teaspoon lahsun, chopped
• 1 teaspoon adrak, chopped
• 2 medium size pyaz, chopped
• 1 medium tamatar, chopped
• 2 se 3 hari mirch
• 1 teaspoon mix masala powder
• 1/2 teaspoon haldi powder
• 1/2 teaspoon tikhi lal mirch powder
• 1 teaspoon kasmiri lal mirch powder
• 1/2 teaspoon garam masala powder
• 1/2 teaspoon dhaniya powder
• 1/2 teaspoon kali mirch powder
• 1 teaspoon kasturi methi powder
• 2 tablespoon hara dhaniya, kata hua
• Pani zarurat ke hisaab se
• Namak swad anusar

aloo gobi ki sabzi ka samgri

3. Aloo Gobi Recipe Step by Step (Asaan Tarike Se)

Step 1: Sabzi ke liye aloo aur gobi ka cutting aur ubalna

Sabse pehle aloo aur gobi ko achhe se dho lo. Aloo ko chheel kar 6 tukde kar lo, aur gobi ko do bade tukde kar lo. Fir dono ko ek bartaan mein daal kar thoda garam pani daal ke 2 minute ke liye ubal lo.

Step 2: Masala ka tadka banana

Ek kadahi mein sarson ka tel garam karo. Tel garam hone par ilaichi, dalchini, tej patta, hing, jeera daal kar halka sa bhuno. Fir pyaz daal kar golden brown hone tak bhuno.
Ab tamatar, adrak aur lahsun daal kar 1-2 minute tak bhuno. Fir haldi, tikhi lal mirch, kasmiri lal mirch powder daal kar thoda pani chhidko aur 2-3 minute tak pakaao.
Thode thode masale jaise mix masala, garam masala, dhaniya powder, kali mirch powder daal kar 1 minute bhuno.
aloo gobi ki sabzi kaise banta hai

Step 3: Aloo gobi ko masale mein pakaana

Ab aloo aur gobi ko masale mein daal kar namak swad anusar milao. Madhyam aag par 4-5 minute tak pakaao taki masala achhe se mix ho jaye.
ghar pr aloo gobi ki sabzi kaise banaye

Step 4: Dhakkan laga kar dhimi aanch par pakaana

2 cup pani daal kar dhakkan laga do. 7-8 minute tak dhimi aanch par pakaao taki gravy achhi ban jaye. Beech-beech mein check karte raho.
ghar pr banaye dhaba jaisa aloo gobi ki sabzi

Step 5: Serve karne se pehle kasturi methi aur hara dhaniya

Gravy jab pak jaye, tab 1/2 teaspoon bhuni hui kasturi methi aur 2 tablespoon hara dhaniya daal kar mila lo. Ab garama garam tandoori  roti, kulcha ya chawal ke saath paroso.
ager aap ko tandoori roti ya kulcha nahi banane aata hai to aap yaha click kar ke dekh sakte hai [tandoori roti or kulcha]

aloo gobi ki sabzi

4. Aloo Gobi ki sabzi ko aur bhi swaadist banane ke tips

• Agar aap butter daalo, to sabzi aur creamy aur tasty ban jayegi.
• Cream milane se gravy ka rang aur texture badhiya hota hai.
• Thoda dahi daalne se khatta pan badhta hai, jo pasand ho to try karo.

5. Aloo Gobi banate waqt ye galtiyan mat karo

• Sab saman pehle taiyaar karlo, taaki cooking mein dikkat na ho.
• Agar asli dhaba wala swad chahiye to butter na daalo, sirf sarson ka tel use karo.
• Aloo aur gobi ko pehle thoda ubal lo, taki jaldi pak jaye.
• Gravy ko jyada gaadha mat karo, halka sa patla hi sahi rehta hai.

6. Health Benefits of Aloo Gobi Sabzi

Ismein hing dali hai, jo pachan ko achha karta hai.

• Masale zyada nahi dali, isliye digestion theek rahega.

• Agar dahi bhi daalo to calcium milega, jo haddiyan majboot karta hai.

• Lahsun bhi health ke liye bahut faidemand hai.

Niskars Aloo Gobi Reciep In Hindi

Haan to mere bhaiyon aur behno, agar aap bhi is Aloo Gobi recipe ko ghar par is tareeke se banayenge, to aapko bilkul perfect result milega! Aap ise apne rishtedaaron ke aane par bhi bana sakte hain — sabko bahut pasand aayegi. Agar aapko ye recipe achhi lagi ho, to comment karke zaroor batayein ki aapko kaisi lagi, aur main isme aur kya behtar kar sakta hoon!”

7. FAQs – Aloo Gobi Recipe se jude sawal

Q: Kya bina lahsun aur pyaz ke bana sakte hain?
A: Haan, bina lahsun aur pyaz ke bhi bana sakte hain, bas tamatar thoda zyada daalo.
A: Bilkul, ghee se taste bhi badhta hai aur health ke liye bhi achha hai.

A: Bilkul, ghee se taste bhi badhta hai aur health ke liye bhi achha hai.

A: Haan, fridge mein rakh kar 1 din tak khaya ja sakta hai.

Recipe Card Aloo gobi Recipe In Hindi


🥘 Aloo Gobi Sabzi – Maa Ke Haathon Jaisa Swad

⏱️ Cooking Time

  • Prep Time: 10 minutes
  • Cook Time: 20 minutes
  • Total Time: 30 minutes

About Me

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now
Instagram Group Join Now

1 thought on “Maa Ke Haath ke Jaisi Aloo Gobi Recipe in Hindi – Ghar Ka Asli Swad”

  1. Pingback: आलू सोयाबीन की सब्जी कैसे बनाएं – देसी स्टाइल में

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top